kise majal jo Toke meri uDanon ko
kise majāl jo Toke mirī uḌānoñ ko
maiñ ḳhāksār samajhtā huuñ āsmānoñ ko
sanad ḳhulūs kī māñge na mujh se mustaqbil
maiñ saath le ke chalā huuñ ga.e zamānoñ ko
zamīn bik ga.ī saarī adū ke paas mirī
duā.eñ detā huuñ maiñ aap ke lagānoñ ko
nazar kī had meñ simaT aa.e ajnabī chehre
talāsh karne jo niklā maiñ mehrbānoñ ko
sameT le ga.e sab rahmateñ kahāñ mehmān
makān kāTtā phirtā hai mezbānoñ ko
maiñ sañg-e-mīl ke reze sambhāl luuñ 'sāqib'
safar kī laaj samajhtā huuñ in nishānoñ ko
kise majal jo Toke meri uDanon ko
main KHaksar samajhta hun aasmanon ko
sanad KHulus ki mange na mujh se mustaqbil
main sath le ke chala hun gae zamanon ko
zamin bik gai sari adu ke pas meri
duaen deta hun main aap ke laganon ko
nazar ki had mein simaT aae ajnabi chehre
talash karne jo nikla main mehrbanon ko
sameT le gae sab rahmaten kahan mehman
makan kaTta phirta hai mezbanon ko
main sang-e-mil ke reze sambhaal lun 'saqib'
safar ki laj samajhta hun in nishanon ko
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 310)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.