KHwab mein dekh raha hun ki haqiqat mein use
ḳhvāb meñ dekh rahā huuñ ki haqīqat meñ use
maiñ kabhī dekh nahīñ saktā musībat meñ use
vo mirā yār-e-tarah-dār ki ḳhush-fahm bhī hai
koī dhoka hī na de jaa.e mohabbat meñ use
zindagī ho to ka.ī kaam nikal aate haiñ
yaad ā.ūñgā kabhī maiñ bhī zarūrat meñ use
ik ta.alluq thā ki shīshe kī tarah TuuT gayā
joḌ saktā hī nahīñ maiñ kisī sūrat meñ use
aaj tak jism mirā TuuT rahā hai 'fāzil'
maiñ ne dekhā thā kabhī niind kī hālat meñ use
KHwab mein dekh raha hun ki haqiqat mein use
main kabhi dekh nahin sakta musibat mein use
wo mera yar-e-tarah-dar ki KHush-fahm bhi hai
koi dhoka hi na de jae mohabbat mein use
zindagi ho to kai kaam nikal aate hain
yaad aaunga kabhi main bhi zarurat mein use
ek talluq tha ki shishe ki tarah TuT gaya
joD sakta hi nahin main kisi surat mein use
aaj tak jism mera TuT raha hai 'fazil'
main ne dekha tha kabhi nind ki haalat mein use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.