KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi
ḳhvāb kī raah meñ aa.e na dar-o-bām kabhī
is musāfir ne uThāyā nahīñ ārām kabhī
rashk-e-mahtāb hai ik dāġh-e-tamannā kab se
dil kā nazzāra karo aa ke sar-e-shām kabhī
shab-ba-ḳhair us ne kahā thā ki sitāre larze
ham na bhūleñge judā.ī kā vo hañgām kabhī
sar-kashī apnī huī kam na ummīdeñ TūTīñ
mujh se kuchh ḳhush na gayā mausam-e-ālām kabhī
ham se āvāroñ kī sohbat meñ hai vo lutf ki bas
do ghaḌī mil to sahī gardish-e-ayyām kabhī
ai sabā maiñ bhī thā āshufta-saroñ meñ yaktā
pūchhnā dillī kī galiyoñ se mirā naam kabhī
nudrat-e-fikr ne gar saath jo chhoḌā to 'na.īm'
apne sar leñge tatabbo kā na ilzām kabhī
KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi
is musafir ne uThaya nahin aaram kabhi
rashk-e-mahtab hai ek dagh-e-tamanna kab se
dil ka nazzara karo aa ke sar-e-sham kabhi
shab-ba-KHair us ne kaha tha ki sitare larze
hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi
sar-kashi apni hui kam na ummiden TuTin
mujh se kuchh KHush na gaya mausam-e-alam kabhi
hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas
do ghaDi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi
ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta
puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi
nudrat-e-fikr ne gar sath jo chhoDa to 'naim'
apne sar lenge tatabbo ka na ilzam kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.