KHud se milna milana bhul gae
ḳhud se milnā milānā bhuul ga.e
log apnā Thikānā bhuul ga.e
rañg hī se fareb khāte raheñ
ḳhushbueñ āzmānā bhuul ga.e
tere jaate hī ye huā mahsūs
aa.ine jagmagānā bhuul ga.e
jaane kis haal meñ haiñ kaise haiñ
ham jinheñ yaad aanā bhuul ga.e
paar utar to ga.e sabhī lekin
sāhiloñ par ḳhazāna bhuul ga.e
dostī bandagī vafā-o-ḳhulūs
ham ye sham.eñ jalānā bhuul ga.e
KHud se milna milana bhul gae
log apna Thikana bhul gae
rang hi se fareb khate rahen
KHushbuen aazmana bhul gae
tere jate hi ye hua mahsus
aaine jagmagana bhul gae
jaane kis haal mein hain kaise hain
hum jinhen yaad aana bhul gae
par utar to gae sabhi lekin
sahilon par KHazana bhul gae
dosti bandagi wafa-o-KHulus
hum ye shamen jalana bhul gae
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.