Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apne jurm ka mujrim ko etiraf na tha

Bekal Utsahi

KHud apne jurm ka mujrim ko etiraf na tha

Bekal Utsahi

MORE BYBekal Utsahi

    ḳhud apne jurm mujrim ko e'tirāf na thā

    magar ye jazba ba-nām-e-junūñ muaaf na thā

    pighal to saktā hai lohā nigāh-e-azm to ho

    ye pahle qaid dīvār meñ shigāf na thā

    hasad gard thiiñ buġhz aur nafrat

    mire vajūd pe aisā koī ġhilāf na thā

    ulajh rahe haiñ bahut log merī shohrat se

    kisī ko yuuñ to koī mujh se iḳhtilāf na thā

    tire jamāl se mahfil meñ ab sukūn hai

    vagarna zehn kisī kisī se saaf na thā

    mirā nasīb ki kashtī kināre lag na sakī

    havā jhoñkā to vaise mire ḳhilāf na thā

    jadīd lahja ye andāz kis liye 'bekal'

    tujhe to husn-e-rivāyat se inhirāf na thā

    KHud apne jurm ka mujrim ko e'tiraf na tha

    magar ye jazba ba-nam-e-junun muaf na tha

    pighal to sakta hai loha nigah-e-azm to ho

    ye pahle qaid ki diwar mein shigaf na tha

    hasad ki gard thin bughz aur nafrat ki

    mere wajud pe aisa koi ghilaf na tha

    ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se

    kisi ko yun to koi mujh se iKHtilaf na tha

    tere jamal se mahfil mein ab sukun sa hai

    wagarna zehn kisi ka kisi se saf na tha

    mera nasib ki kashti kinare lag na saki

    hawa ka jhonka to waise mere KHilaf na tha

    jadid lahja ye andaz kis liye 'bekal'

    tujhe to husn-e-riwayat se inhiraf na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now