kho baiThi hai sare KHad-o-Khaal apni ye duniya
kho baiThī hai saare ḳhad-o-ḳhāl apnī ye duniyā
ab to hai faqat ek dhamāl apnī ye duniyā
sadiyoñ kī sitam-dīda ġham-o-rañj se mā'mūr
kis darja hai zaḳhmoñ se niDhāl apnī ye duniyā
zor-āvarī-e-zulm hai is darja ki qātil
kahte haiñ ki hai un kā manāl apnī ye duniyā
kab tak ye tirā husn-e-taġhāful hai ḳhudā-yā
ik la.ib hai bar-dast-e-majāl apnī ye duniyā
ḳhūñ-rezi-e-ādam kā ye 'ālam hai ki ab to
lagtī hai bas ik gāh-e-qitāl apnī ye duniyā
kyuuñ ḳhūn-e-bashar ḳhūn-e-tamannā hai har ik samt
kyuuñ ḳhuuñ se huī jaatī hai laal apnī ye duniyā
hai ḳhaar kī mānind mirī ruuh meñ paivast
ye nīsh-e-ġham-o-dard ḳhayāl apnī ye duniyā
mānind-e-salīb is ko liye phirtā huuñ din raat
kāñdhoñ pe uThā.e ye vabāl apnī ye duniyā
ab mujh se sañbhaltī nahīñ ye dard kī sauġhāt
le tujh ko mubārak ho sañbhāl apnī ye duniyā
kho baiThi hai sare KHad-o-KHal apni ye duniya
ab to hai faqat ek dhamal apni ye duniya
sadiyon ki sitam-dida gham-o-ranj se ma'mur
kis darja hai zaKHmon se niDhaal apni ye duniya
zor-awari-e-zulm hai is darja ki qatil
kahte hain ki hai un ka manal apni ye duniya
kab tak ye tera husn-e-taghaful hai KHuda-ya
ek laib hai bar-dast-e-majal apni ye duniya
KHun-rezi-e-adam ka ye 'alam hai ki ab to
lagti hai bas ek gah-e-qital apni ye duniya
kyun KHun-e-bashar KHun-e-tamanna hai har ek samt
kyun KHun se hui jati hai lal apni ye duniya
hai KHar ki manind meri ruh mein paiwast
ye nish-e-gham-o-dard KHayal apni ye duniya
manind-e-salib is ko liye phirta hun din raat
kandhon pe uThae ye wabaal apni ye duniya
ab mujh se sanbhalti nahin ye dard ki saughat
le tujh ko mubarak ho sanbhaal apni ye duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.