KHak uDti hai raat-bhar mujh mein
ḳhaak uḌtī hai rāt-bhar mujh meñ
kaun phirtā hai dar-ba-dar mujh meñ
mujh ko ḳhud meñ jagah nahīñ miltī
tū hai maujūd is qadar mujh meñ
mausam-e-girya ek guzārish hai
ġham ke pakne talak Thahr mujh meñ
be-gharī ab mirā muqaddar hai
ishq ne kar liyā hai ghar mujh meñ
aap kā dhyān ḳhuun ke mānind
dauḌtā hai idhar-udhar mujh meñ
hausla ho to baat ban jaa.e
hausla hī nahīñ magar mujh meñ
KHak uDti hai raat-bhar mujh mein
kaun phirta hai dar-ba-dar mujh mein
mujh ko KHud mein jagah nahin milti
tu hai maujud is qadar mujh mein
mausam-e-girya ek guzarish hai
gham ke pakne talak Thahr mujh mein
be-ghari ab mera muqaddar hai
ishq ne kar liya hai ghar mujh mein
aap ka dhyan KHun ke manind
dauDta hai idhar-udhar mujh mein
hausla ho to baat ban jae
hausla hi nahin magar mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.