KHak maine jo uDai thi bayabanon mein
ḳhaak maiñ ne jo uḌaa.ī thī bayābānoñ meñ
rasm abhī tak vo chalī aatī hai dīvānoñ meñ
vahshiyoñ ko ye sabaq detī huī aa.ī bahār
taar baaqī na rahe koī garebānoñ meñ
jis ko hasrat ho mire dil se nikal jaane kī
aisā armāñ na ho shāmil mire armānoñ meñ
mujh se kahtī hai mirī ruuh nikal kar shab-e-ġham
dekh maiñ huuñ tire nikle hue armānoñ meñ
vahī azkār-e-havādis vahī ġham ke qisse
'abr' kyā is ke sivā hai tire afsānoñ meñ
KHak main ne jo uDai thi bayabanon mein
rasm abhi tak wo chali aati hai diwanon mein
wahshiyon ko ye sabaq deti hui aai bahaar
tar baqi na rahe koi garebanon mein
jis ko hasrat ho mere dil se nikal jaane ki
aisa arman na ho shamil mere armanon mein
mujh se kahti hai meri ruh nikal kar shab-e-gham
dekh main hun tere nikle hue armanon mein
wahi azkar-e-hawadis wahi gham ke qisse
'abr' kya is ke siwa hai tere afsanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.