kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai
kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
MORE BYBashiruddin Ahmad Dehlvi
kaun kahtā hai nasīm-e-saharī aatī hai
nik.hat-e-gul meñ basī ek parī aatī hai
shauq se zulm karo shauq se do tum āzār
ye samajh lo mujhe bhī nauhagarī aatī hai
koī kahtā hai ki aatā hai dukhānā dil kā
koī kahtā hai tumheñ chāragarī aatī hai
dard-e-ulfat ko baḌhā kar vo ghaTā dete haiñ
chaak dil kyuuñ na kareñ baḳhiya-garī aatī hai
jhuuT se mujh ko na matlab na banāvaT se kaam
baat jo aatī hai muñh par vo kharī aatī hai
zor se saañs jo letā huuñ to aksar shab-e-ġham
dil kī āvāz 'ajab dard bharī aatī hai
dast-e-vahshat kā mire shuġhl vo kyā pūchhte haiñ
kuchh nahīñ aatā faqat jāma-darī aatī hai
kaam karne ke salīqe se ham āgāh nahīñ
aur kyā aatā hai bas be-hunarī aatī hai
dil-e-pazh-murda khilā jaatā hai kyuuñ aaj bashīr
aa ga.ī hai koī yā ḳhush-ḳhabarī aatī hai
kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai
nikhat-e-gul mein basi ek pari aati hai
shauq se zulm karo shauq se do tum aazar
ye samajh lo mujhe bhi nauhagari aati hai
koi kahta hai ki aata hai dukhana dil ka
koi kahta hai tumhein chaaragari aati hai
dard-e-ulfat ko baDha kar wo ghaTa dete hain
chaak dil kyun na karen baKHiya-gari aati hai
jhuT se mujh ko na matlab na banawaT se kaam
baat jo aati hai munh par wo khari aati hai
zor se sans jo leta hun to aksar shab-e-gham
dil ki aawaz 'ajab dard bhari aati hai
dast-e-wahshat ka mere shughl wo kya puchhte hain
kuchh nahin aata faqat jama-dari aati hai
kaam karne ke saliqe se hum aagah nahin
aur kya aata hai bas be-hunari aati hai
dil-e-pazh-murda khila jata hai kyun aaj bashir
aa gai hai koi ya KHush-KHabari aati hai
- Deewan-e-Basheerwebsite)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.