kaise Duba Dub gaya
kaise Duubā Duub gayā
Dūbne vaalā Duub gayā
kaisī nek kamā.ī thii!
paisa paisa Duub gayā
naav na Duubī dariyā meñ
naav meñ dariyā Duub gayā
log kināre aan lage
aur kināra Duub gayā
bārish us ne bhejī thī
shahar hamārā Duub gayā
saarī raat bitā Daalī
taara taara Duub gayā
'gauhar' puurā ḳhvāb sunā
paanī meñ kyā Duub gayā
kaise Duba Dub gaya
Dubne wala Dub gaya
kaisi nek kamai thi!
paisa paisa Dub gaya
naw na Dubi dariya mein
naw mein dariya Dub gaya
log kinare aan lage
aur kinara Dub gaya
barish us ne bheji thi
shahar hamara Dub gaya
sari raat bita Dali
tara tara Dub gaya
'gauhar' pura KHwab suna
pani mein kya Dub gaya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 289)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.