kaisa ghazab ye ai dil-e-pur-josh kar diya
kaisā ġhazab ye ai dil-e-pur-josh kar diyā
terī ravish ne un ko jafā-kosh kar diyā
us chashm-e-pur-ḳhumār kī sar-mastiyāñ na pūchh
sab ko ba-qadr-e-hausla mai-nosh kar diyā
majbūr ho chukī thī zabāñ arz-e-hāl par
lekin tirī nigāh ne ḳhāmosh kar diyā
un kī jafāoñ par bhī vafā kā huā gumāñ
apnī vafāoñ ko bhī farāmosh kar diyā
qurbān us nigāh ke jis ne 'hamīd' ko
sad-mahshar-e-ḳhayāl dar-āġhosh kar diyā
kaisa ghazab ye ai dil-e-pur-josh kar diya
teri rawish ne un ko jafa-kosh kar diya
us chashm-e-pur-KHumar ki sar-mastiyan na puchh
sab ko ba-qadr-e-hausla mai-nosh kar diya
majbur ho chuki thi zaban arz-e-haal par
lekin teri nigah ne KHamosh kar diya
un ki jafaon par bhi wafa ka hua guman
apni wafaon ko bhi faramosh kar diya
qurban us nigah ke jis ne 'hamid' ko
sad-mahshar-e-KHayal dar-aghosh kar diya
- Book : Shaam e Sehra (Pg. 168)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.