Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT

Khalid Irfan

kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    kaisā ajiib aayā hai is saal bajaT

    murġhī jo bajaT hai vahī daal bajaT

    jitnī hai ik clerk tanḳhvāh aaj kal

    utnā hai begamāt ke ik gaal bajaT

    sirf ek din meñ biis musāfir hue halāk

    hāzir hai sā.īñ gulshan-e-iqbāl bajaT

    T.v ye mazāq adīboñ ke saath hai

    shā.er se dugnā rakh diyā qavvāl bajaT

    bichhḌe the jab ye log mahīna thā june

    sohnī banā rahī thī mahīñvāl bajaT

    dāmād ko nikāl ke jab bhī huā hai pesh

    sāloñ ne paas kar diyā sasurāl bajaT

    biktī hai ab kitāb bhī cassette ke rate pe

    kaise banegā 'ġhālib' o 'iqbāl' bajaT

    maañ kah rahī thī rañg lipstick ke dekh kar

    chaT kar diyā bahū ne mire laal bajaT

    donoñ bane haiñ bā.is-e-taklīf āj-kal

    'is.hāq'-Dār aur na.e saal bajaT

    kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT

    murghi ka jo bajaT hai wahi dal ka bajaT

    jitni hai ek clerk ki tanKHwah aaj kal

    utna hai begamat ke ek gal ka bajaT

    sirf ek din mein bis musafir hue halak

    hazir hai sain gulshan-e-iqbaal ka bajaT

    Tw ka ye mazaq adibon ke sath hai

    shaer se dugna rakh diya qawwal ka bajaT

    bichhDe the jab ye log mahina tha june ka

    sohni bana rahi thi mahinwal ka bajaT

    damad ko nikal ke jab bhi hua hai pesh

    salon ne pas kar diya sasural ka bajaT

    bikti hai ab kitab bhi cassette ke rate pe

    kaise banega 'ghaalib' o 'iqbaal' ka bajaT

    man kah rahi thi rang lipstick ke dekh kar

    chaT kar diya bahu ne mere lal ka bajaT

    donon bane hain bais-e-taklif aaj-kal

    'ishaq'-Dar aur nae sal ka bajaT

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now