kai aawazon ki aawaz hun main
ka.ī āvāzoñ kī āvāz huuñ maiñ
ġhazal ke vāste e.azāz huuñ maiñ
ka.ī harfoñ se mil kar ban rahā huuñ
bajā.e lafz ke alfāz huuñ maiñ
mirī āvāz meñ sūrat hai merī
ki apne saaz kī āvāz huuñ maiñ
bahut fitrī thā terā harf-e-inkār
tirā ġham-ḳhvār huuñ dam-sāz huuñ maiñ
kahīñ to harf-e-āḳhir huuñ maiñ 'akbar'
kisī kā nuqta-e-āġhāz huuñ maiñ
kai aawazon ki aawaz hun main
ghazal ke waste eazaz hun main
kai harfon se mil kar ban raha hun
bajae lafz ke alfaz hun main
meri aawaz mein surat hai meri
ki apne saz ki aawaz hun main
bahut fitri tha tera harf-e-inkar
tera gham-KHwar hun dam-saz hun main
kahin to harf-e-aKHir hun main 'akbar'
kisi ka nuqta-e-aghaz hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.