kahne ko sham-e-bazm-e-zaman-o-makan hun main
kahne ko sham-e-bazm-e-zamān-o-makāñ huuñ maiñ
socho to sirf kushta-e-daur-e-jahāñ huuñ maiñ
aatā huuñ maiñ zamāne kī āñkhoñ meñ raat din
lekin ḳhud apnī nazroñ se ab tak nihāñ huuñ maiñ
jaatā nahīñ kināroñ se aage kisī kā dhyān
kab se pukārtā huuñ yahāñ huuñ yahāñ huuñ maiñ
ik Dūbte vajūd kī maiñ hī pukār huuñ
aur aap hī vajūd kā andhā kuaañ huuñ maiñ
cigarette jise sulagtā huā koī chhoḌ de
us kā dhuāñ huuñ aur pareshāñ dhuāñ huuñ maiñ
kahne ko sham-e-bazm-e-zaman-o-makan hun main
socho to sirf kushta-e-daur-e-jahan hun main
aata hun main zamane ki aankhon mein raat din
lekin KHud apni nazron se ab tak nihan hun main
jata nahin kinaron se aage kisi ka dhyan
kab se pukarta hun yahan hun yahan hun main
ek Dubte wajud ki main hi pukar hun
aur aap hi wajud ka andha kuan hun main
cigarette jise sulagta hua koi chhoD de
us ka dhuan hun aur pareshan dhuan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.