kahin shoala kahin shabnam, kahin KHushbu dil par
kahīñ sho.ala kahīñ shabnam, kahīñ ḳhushbū dil par
vo saman-bū hai bahar-rañg bahar-sū dil par
chaman-e-rūh se ḳhushbu-e-badan aatī hai
jaan par mauja-e-lab nafha-e-gesū dil par
dil ko ḳhud hausla-e-kār-e-fusūñ-sāzī hai
ki chalā thā na chalā hai koī jaadū dil par
lazzat-e-dīd ḳhudā jaane kahāñ le jaa.e
aañkh hotī hai to hotā nahīñ qaabū dil par
ye tahayyur hai ki nazzāra ki afsūn-e-jamāl
sāmne paikar-e-āhū ram-e-āhū dil par
is kashākash meñ kahāñ jaañ ke liye jā-e-amāñ
dil hai mehrāb-e-haram maiñ ḳham-e-abru dil par
jaañ tah-e-chashm ki yuuñ sair-o-tamāshā hī sahī
koī mahtāb nazar meñ koī mah-rū dil par
kahin shoala kahin shabnam, kahin KHushbu dil par
wo saman-bu hai bahar-rang bahar-su dil par
chaman-e-ruh se KHushbu-e-badan aati hai
jaan par mauja-e-lab nafha-e-gesu dil par
dil ko KHud hausla-e-kar-e-fusun-sazi hai
ki chala tha na chala hai koi jadu dil par
lazzat-e-did KHuda jaane kahan le jae
aankh hoti hai to hota nahin qabu dil par
ye tahayyur hai ki nazzara ki afsun-e-jamal
samne paikar-e-ahu ram-e-ahu dil par
is kashakash mein kahan jaan ke liye ja-e-aman
dil hai mehrab-e-haram main KHam-e-abru dil par
jaan tah-e-chashm ki yun sair-o-tamasha hi sahi
koi mahtab nazar mein koi mah-ru dil par
- Book : Bahaar-e-iijaad (Pg. 110)
- Author : Syed Amin Ashraf
- Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.