kahin se maut ko lao ki gham ki raat kaTe
Interesting Fact
Film: Khaandan (1965)
kahīñ se maut ko laao ki ġham kī raat kaTe
mirā hī sog manāo ki ġham kī raat kaTe
kare na pīchhā mirā zindagī ko samjhā do
ye raah us ko bhulāo ki ġham kī raat kaTe
kaho bahāroñ se ab shāḳh-e-dil na hogī harī
ḳhizāñ ke giit sunāo ki ġham kī raat kaTe
na chāra-gar kī zarūrat na kuchh davā kī hai
duā ko haath uThāo ki ġham kī raat kaTe
kahin se maut ko lao ki gham ki raat kaTe
mera hi sog manao ki gham ki raat kaTe
kare na pichha mera zindagi ko samjha do
ye rah us ko bhulao ki gham ki raat kaTe
kaho bahaaron se ab shaKH-e-dil na hogi hari
KHizan ke git sunao ki gham ki raat kaTe
na chaara-gar ki zarurat na kuchh dawa ki hai
dua ko hath uThao ki gham ki raat kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.