kahan shikwa zamane ka pas-e-diwar karte hain
kahan shikwa zamane ka pas-e-diwar karte hain
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
kahāñ shikva zamāne kā pas-e-dīvār karte haiñ
hameñ karnā hai jo bhī ham sar-e-bāzār karte haiñ
zamāne se ravādārī kā rishta ab bhī baaqī hai
magar saudā kisī se dil kā ham ik baar karte haiñ
mahāz-e-jañg par sīna-sipar ho kar maiñ chaltā huuñ
magar buzdil hamesha pusht par hī vaar karte haiñ
nahīñ miltī unheñ manzil jinheñ ḳhauf-e-havādis hai
jo maujoñ se nahīñ Darte nadī ko paar karte haiñ
'majīd' achchhā nahīñ hotā kisī se bhī judā honā
magar ye rasm-e-duniyā ham adā sau baar karte haiñ
kahan shikwa zamane ka pas-e-diwar karte hain
hamein karna hai jo bhi hum sar-e-bazar karte hain
zamane se rawadari ka rishta ab bhi baqi hai
magar sauda kisi se dil ka hum ek bar karte hain
mahaz-e-jang par sina-sipar ho kar main chalta hun
magar buzdil hamesha pusht par hi war karte hain
nahin milti unhen manzil jinhen KHauf-e-hawadis hai
jo maujon se nahin Darte nadi ko par karte hain
'majid' achchha nahin hota kisi se bhi juda hona
magar ye rasm-e-duniya hum ada sau bar karte hain
- Ek Aag Si Seene Mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.