kabhi to bante hue aur kabhi bigaDte hue
kabhī to bante hue aur kabhī bigaḌte hue
ye kis ke aks haiñ tanhā.iyoñ meñ paḌte hue
ajiib dasht hai is meñ na koī phuul na ḳhaar
kahāñ pe aa gayā maiñ titliyāñ pakaḌte hue
mirī fazā.eñ haiñ ab tak ġhubār-ālūda
bikhar gayā thā vo kitnā mujhe jakaḌte hue
jo shaam hotī hai har roz haar jaatā huuñ
maiñ apne jism kī parchhā.iyoñ se laḌte hue
ye itnī raat ga.e aaj shor hai kaisā
hoñ jise qabroñ pe patthar kahīñ ukhaḌte hue
kabhi to bante hue aur kabhi bigaDte hue
ye kis ke aks hain tanhaiyon mein paDte hue
ajib dasht hai is mein na koi phul na KHar
kahan pe aa gaya main titliyan pakaDte hue
meri fazaen hain ab tak ghubar-aluda
bikhar gaya tha wo kitna mujhe jakaDte hue
jo sham hoti hai har roz haar jata hun
main apne jism ki parchhaiyon se laDte hue
ye itni raat gae aaj shor hai kaisa
hon jise qabron pe patthar kahin ukhaDte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.