kab tak mahkegi be-as gulabon mein
kab tak mahkegī be-ās gulāboñ meñ
mar jā.egī ḳhushbū band kitāboñ meñ
kabhī darūn-e-zāt ke manzar the in meñ
kankar hī kankar haiñ ab tālāboñ meñ
haath lagāte hī miTTī kā Dher hue
kaise kaise rañg bhare the ḳhvāboñ meñ
girtī jaa.e rishtoñ kī mazbūt fasīl
naḳhlistān badaltā jaa.e sarāboñ meñ
zehnoñ meñ tashvīsh diloñ meñ ḳhauf bahut
saarī bastī hai mahsūr 'azāboñ meñ
aa.ī hisāboñ meñ jab duniyā kī tasḳhīr
ik lamha ġhā.eb thā sabhī hisāboñ meñ
kab tak mahkegi be-as gulabon mein
mar jaegi KHushbu band kitabon mein
kabhi darun-e-zat ke manzar the in mein
kankar hi kankar hain ab talabon mein
hath lagate hi miTTi ka Dher hue
kaise kaise rang bhare the KHwabon mein
girti jae rishton ki mazbut fasil
naKHlistan badalta jae sarabon mein
zehnon mein tashwish dilon mein KHauf bahut
sari basti hai mahsur 'azabon mein
aai hisabon mein jab duniya ki tasKHir
ek lamha ghaeb tha sabhi hisabon mein
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 584)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.