kab kahan kya mere dildar uTha laenge
kab kahāñ kyā mire dildār uThā lā.eñge
vasl meñ bhī dil-e-be-zār uThā lā.eñge
chāhiye kyā tumheñ tohfe meñ batā do varna
ham to bāzār ke bāzār uThā lā.eñge
yuuñ mohabbat se na ham ḳhāna-ba-doshoñ ko bulā
itne saada haiñ ki ghar-bār uThā lā.eñge
ek misre se ziyāda to nahīñ bār-e-vajūd
tum pukāroge to har baar uThā lā.eñge
gar kisī jashn-e-masarrat meñ chale bhī jaa.eñ
chun ke aañsū tire ġham-ḳhvār uThā lā.eñge
kaun sā phuul sajegā tire juuḌe meñ bhalā
is shash-o-panj meñ gulzār uThā lā.eñge
kab kahan kya mere dildar uTha laenge
wasl mein bhi dil-e-be-zar uTha laenge
chahiye kya tumhein tohfe mein bata do warna
hum to bazar ke bazar uTha laenge
yun mohabbat se na hum KHana-ba-doshon ko bula
itne sada hain ki ghar-bar uTha laenge
ek misre se ziyaada to nahin bar-e-wajud
tum pukaroge to har bar uTha laenge
gar kisi jashn-e-masarrat mein chale bhi jaen
chun ke aansu tere gham-KHwar uTha laenge
kaun sa phul sajega tere juDe mein bhala
is shash-o-panj mein gulzar uTha laenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.