kash aisa koi manzar hota
kaash aisā koī manzar hotā
mere kāñdhe pe tirā sar hotā
jam.a kartā jo maiñ aa.e hue sañg
sar chhupāne ke liye ghar hotā
is bulandī pe bahut tanhā huuñ
kaash maiñ sab ke barābar hotā
us ne uljhā diyā duniyā meñ mujhe
varna ek aur qalandar hotā
vo jo Thokar na lagāte mujh ko
maiñ kisī raah kā patthar hotā
kash aisa koi manzar hota
mere kandhe pe tera sar hota
jama karta jo main aae hue sang
sar chhupane ke liye ghar hota
is bulandi pe bahut tanha hun
kash main sab ke barabar hota
us ne uljha diya duniya mein mujhe
warna ek aur qalandar hota
wo jo Thokar na lagate mujh ko
main kisi rah ka patthar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.