kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai
kā.enāt-e-ġham meñ zehn ik ḳhalā hai
ḳhvāb kā parinda jis meñ aḌ rahā hai
raat kaT ga.ī hai sub.h ho ga.ī hai
dil ko DhūñDiye mat kab kā jal bujhā hai
dard ke sahāre kab talak chaleñge
saañs ruk rahī hai fāsla baḌā hai
is jagah pe sab ne haath chhoḌ Daalā
ye maqām shāyad manzil-e-vafā hai
TūTte badan meñ dil ajiib shai hai
retīlī zamīñ meñ phuul khil rahā hai
kyuuñ havā nai badlīñ mere muñh kī bāteñ
maiñ nai kuchh kahā hai us nai kuchh sunā hai
terī kyā ye hālat ho ga.ī hai 'māmūn'
ḳhud hī kah rahā hai ḳhud hī sun rahā hai
kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai
KHwab ka parinda jis mein aD raha hai
raat kaT gai hai subh ho gai hai
dil ko DhunDiye mat kab ka jal bujha hai
dard ke sahaare kab talak chalenge
sans ruk rahi hai fasla baDa hai
is jagah pe sab ne hath chhoD Dala
ye maqam shayad manzil-e-wafa hai
TuTte badan mein dil ajib shai hai
retili zamin mein phul khil raha hai
kyun hawa nai badlin mere munh ki baaten
main nai kuchh kaha hai us nai kuchh suna hai
teri kya ye haalat ho gai hai 'mamun'
KHud hi kah raha hai KHud hi sun raha hai
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 261)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.