jo tasawwur se mawara na hua
jo tasavvur se māvarā na huā
vo to banda huā ḳhudā na huā
dil agar dard-āshnā na huā
nañg-e-hastī huā huā na huā
rutba-dāñ thā jabīn-e-ishq kā maiñ
husn ke dar pe jab.ha sā na huā
dil ḳhatā-vār-e-ishtiyāq sahī
lab gunahgār-e-iltijā na huā
nañg hai be-amal qubūl-e-bahisht
ye to sadqa huā silā na huā
jo tasawwur se mawara na hua
wo to banda hua KHuda na hua
dil agar dard-ashna na hua
nang-e-hasti hua hua na hua
rutba-dan tha jabin-e-ishq ka main
husn ke dar pe jabha sa na hua
dil KHata-war-e-ishtiyaq sahi
lab gunahgar-e-iltija na hua
nang hai be-amal qubul-e-bahisht
ye to sadqa hua sila na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.