jo shaKHs mera dast-e-hunar kaT raha hai
jo shaḳhs mirā dast-e-hunar kaaT rahā hai
nādān hai shādāb shajar kaaT rahā hai
kyā yaad nahīñ zulm kā anjām zamāne
kyā soch ke sachchā.ī kā sar kaaT rahā hai
fitrat ko ka.ī chehroñ kī partoñ meñ chhupā kar
jaane ye sazā kaisī bashar kaaT rahā hai
tārīf ġham-e-hijr kī kyā mujh se bayāñ ho
ik zahr hai jo qalb o jigar kaaT rahā hai
dil aaj tire ahd-e-mohabbat ke bharose
tanhā.ī kā dushvār safar kaaT rahā hai
kal saath thā koī to dar o baam the raushan
tanhā huuñ 'vasīm' aaj to ghar kaaT rahā hai
jo shaKHs mera dast-e-hunar kaT raha hai
nadan hai shadab shajar kaT raha hai
kya yaad nahin zulm ka anjam zamane
kya soch ke sachchai ka sar kaT raha hai
fitrat ko kai chehron ki parton mein chhupa kar
jaane ye saza kaisi bashar kaT raha hai
tarif gham-e-hijr ki kya mujh se bayan ho
ek zahr hai jo qalb o jigar kaT raha hai
dil aaj tere ahd-e-mohabbat ke bharose
tanhai ka dushwar safar kaT raha hai
kal sath tha koi to dar o baam the raushan
tanha hun 'wasim' aaj to ghar kaT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.