jo nigah-e-naz ka bismil nahin
jo nigāh-e-nāz kā bismil nahīñ
dil nahīñ vo dil nahīñ vo dil nahīñ
botaleñ ḳhālī ga.iiñ zer-e-abā
aaj mai-ḳhāne meñ mai fāzil nahīñ
merī dushvārī hai dushvārī mirī
merī mushkil aap kī mushkil nahīñ
kah rahī hai har adā qātil tumheñ
tum kahe jaao ki ham qātil nahīñ
bahkī bahkī hai 'mubārak' baat baat
ḳhair to hai kyuuñ Thikāne dil nahīñ
jo nigah-e-naz ka bismil nahin
dil nahin wo dil nahin wo dil nahin
botalen KHali gain zer-e-aba
aaj mai-KHane mein mai fazil nahin
meri dushwari hai dushwari meri
meri mushkil aap ki mushkil nahin
kah rahi hai har ada qatil tumhein
tum kahe jao ki hum qatil nahin
bahki bahki hai 'mubarak' baat baat
KHair to hai kyun Thikane dil nahin
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.