jo bahut be-ruKHi se milta hai
jo bahut be-ruḳhī se miltā hai
kyā kareñ dil usī se miltā hai
sirf matlab ke vāste ab to
aadmī aadmī se miltā hai
vo likhā hai kahāñ kitāboñ meñ
jo sabaq zindagī se miltā hai
martaba aaj bhī zamāne meñ
pyaar se ājizī se miltā hai
is kā darmāñ nahīñ koī 'ādil'
dard jo dostī se miltā hai
jo bahut be-ruKHi se milta hai
kya karen dil usi se milta hai
sirf matlab ke waste ab to
aadmi aadmi se milta hai
wo likha hai kahan kitabon mein
jo sabaq zindagi se milta hai
martaba aaj bhi zamane mein
pyar se aajizi se milta hai
is ka darman nahin koi 'adil'
dard jo dosti se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.