jism to miTTi mein milta hai yahin marne ke baad
jism to miTTi mein milta hai yahin marne ke baad
Ganesh Bihari Tarz
MORE BYGanesh Bihari Tarz
jism to miTTī meñ miltā hai yahīñ marne ke baad
us ko kyā ro.eñ jo martā hī nahīñ marne ke baad
farz par qurbān hone kā ik apnā husn hai
aur ho jaatā hai kuchh insāñ hasīñ marne ke baad
ik yahī ġham khaa.e jaatā hai ki us kā hogā kyā
kaun rakkhegā mirā husn-e-yaqīñ marne ke baad
ye mahal ye maal o daulat sab yahīñ rah jā.eñge
haath aa.egī faqat do gaz zamīñ marne ke baad
zindagī tak ke haiñ rishte zindagī tak hai bahār
tum kahīñ ai 'tarz' hoge vo kahīñ marne ke baad
jism to miTTi mein milta hai yahin marne ke baad
us ko kya roen jo marta hi nahin marne ke baad
farz par qurban hone ka ek apna husn hai
aur ho jata hai kuchh insan hasin marne ke baad
ek yahi gham khae jata hai ki us ka hoga kya
kaun rakkhega mera husn-e-yaqin marne ke baad
ye mahal ye mal o daulat sab yahin rah jaenge
hath aaegi faqat do gaz zamin marne ke baad
zindagi tak ke hain rishte zindagi tak hai bahaar
tum kahin ai 'tarz' hoge wo kahin marne ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.