jis taraf chahun pahunch jaun masafat kaisi
jis taraf chāhūñ pahuñch jā.ūñ masāfat kaisī
maiñ to āvāz huuñ āvāz kī hijrat kaisī
sunñe vāloñ kī samā.at ga.ī goyā.ī bhī
qissa-go tū ne sunā.ī thī hikāyat kaisī
ham junūñ vaale haiñ ham se kabhī pūchho pyāre
dasht kahte haiñ kise dasht kī vahshat kaisī
aap ke ḳhauf se kuchh haath baḌhe haiñ lekin
dast-e-majbūr kī sahmī huī bai.at kaisī
phir na.e saal kī sarhad pe khaḌe haiñ ham log
raakh ho jā.egā ye saal bhī hairat kaisī
aur kuchh zaḳhm mire dil ke havāle mirī jaañ
ye mohabbat hai mohabbat meñ shikāyat kaisī
maiñ kisī aañkh se chhalkā huā aañsū huuñ 'nabīl'
merī tā.īd hī kyā merī baġhāvat kaisī
jis taraf chahun pahunch jaun masafat kaisi
main to aawaz hun aawaz ki hijrat kaisi
sunne walon ki samaat gai goyai bhi
qissa-go tu ne sunai thi hikayat kaisi
hum junun wale hain hum se kabhi puchho pyare
dasht kahte hain kise dasht ki wahshat kaisi
aap ke KHauf se kuchh hath baDhe hain lekin
dast-e-majbur ki sahmi hui baiat kaisi
phir nae sal ki sarhad pe khaDe hain hum log
rakh ho jaega ye sal bhi hairat kaisi
aur kuchh zaKHm mere dil ke hawale meri jaan
ye mohabbat hai mohabbat mein shikayat kaisi
main kisi aankh se chhalka hua aansu hun 'nabil'
meri taid hi kya meri baghawat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.