jis samay tera asar tha mujh mein
jis samay terā asar thā mujh meñ
baat karne kā hunar thā mujh meñ
sub.h hote hī sabhī ne dekhā
koī tā hadd-e-nazar thā mujh meñ
maañ batātī hai ki bachpan ke samay
kisī aaseb kā Dar thā mujh meñ
jo bhī aayā kabhī vāpas na gayā
aisī chāhat kā bhañvar thā mujh meñ
maiñ thā sadiyoñ ke safar meñ 'ahmad'
aur sadiyoñ kā safar thā mujh meñ
jis samay tera asar tha mujh mein
baat karne ka hunar tha mujh mein
subh hote hi sabhi ne dekha
koi ta hadd-e-nazar tha mujh mein
man batati hai ki bachpan ke samay
kisi aaseb ka Dar tha mujh mein
jo bhi aaya kabhi wapas na gaya
aisi chahat ka bhanwar tha mujh mein
main tha sadiyon ke safar mein 'ahmad'
aur sadiyon ka safar tha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.