jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen
jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen
Vilas Pandit Musafir
MORE BYVilas Pandit Musafir
jīvan hai pal pal kī uljhan kis kis pal kī baat kareñ
in lamhoñ ko bhuul ke ham tum giit ġhazal kī baat kareñ
roz hī piinā roz pilānā roz ġhamoñ se Takrānā
ik din mai ko bhuul ke aao gañgā-jal kī baat kareñ
sau barsoñ ke is jiine se hāsil kyā ho pā.egā
jis ne dil ko ḳhushiyāñ dī hoñ us ik pal kī baat kareñ
kyā paayā hai bhiiḌ meñ kho kar kyā paaya tanhā.ī meñ
aao yaaro in rasmoñ ke pher-badal kī baat kareñ
aaj vafā kī raah 'musāfir' dhundlī dhundlī lagtī hai
kohra jis ne barsāyā hai us bādal kī baat kareñ
jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen
in lamhon ko bhul ke hum tum git ghazal ki baat karen
roz hi pina roz pilana roz ghamon se Takrana
ek din mai ko bhul ke aao ganga-jal ki baat karen
sau barson ke is jine se hasil kya ho paega
jis ne dil ko KHushiyan di hon us ek pal ki baat karen
kya paya hai bhiD mein kho kar kya paya tanhai mein
aao yaro in rasmon ke pher-badal ki baat karen
aaj wafa ki rah 'musafir' dhundli dhundli lagti hai
kohra jis ne barsaya hai us baadal ki baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.