jab zindagi sukun se mahrum ho gai
jab zindagī sukūn se mahrūm ho ga.ī
un kī nigāh aur bhī māsūm ho ga.ī
hālāt ne kisī se judā kar diyā mujhe
ab zindagī se zindagī mahrūm ho ga.ī
qalb o zamīr be-his o be-jān ho ga.e
duniyā ḳhulūs o dard se mahrūm ho ga.ī
un kī nazar ke koī ishāre na pā sakā
mere junūñ kī chāroñ taraf dhuum ho ga.ī
kuchh is tarah se vaqt ne liiñ karvaTeñ 'asad'
hañstī huī nigāh bhī maġhmūm ho ga.ī
jab zindagi sukun se mahrum ho gai
un ki nigah aur bhi masum ho gai
haalat ne kisi se juda kar diya mujhe
ab zindagi se zindagi mahrum ho gai
qalb o zamir be-his o be-jaan ho gae
duniya KHulus o dard se mahrum ho gai
un ki nazar ke koi ishaare na pa saka
mere junun ki chaaron taraf dhum ho gai
kuchh is tarah se waqt ne lin karwaTen 'asad'
hansti hui nigah bhi maghmum ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.