jab munDeron pe parindon ki kumak jari thi
jab muñDeroñ pe parindoñ kī kumak jaarī thī
lafz the lafzoñ meñ ehsās kī sardārī thī
ab jo lauTā huuñ to pahchān nahīñ hotī hai
kahāñ dīvār thī dīvār meñ almārī thī
vo havelī bhī sahelī thī pahelī jaisī
jis kī īñToñ meñ mire ḳhvāb the ḳhuddārī thī
āḳhirī baar maiñ kab us se milā yaad nahīñ
bas yahī yaad hai ik shaam bahut bhārī thī
pūchhtā phirtā huuñ galiyoñ meñ koī hai koī hai
ye vo galiyāñ haiñ jahāñ log the sarshārī thī
peḌ the chand makānoñ meñ zamānoñ jaise
jin kī chhāñv meñ mirī ruuh kī lū jaarī thī
kyā bhale din the hameñ khel thā hañsnā ronā
saañs lenā bhī hameñ jaise adākārī thī
bas koī ḳhvāb thā aur ḳhvāb ke pas-manzar meñ
baaġh thā phuul the ḳhushbū kī numūdārī thī
ham ne dekhā thā use ujle dinoñ meñ 'hammād'
jin dinoñ niind thī aur niind meñ bedārī thī
jab munDeron pe parindon ki kumak jari thi
lafz the lafzon mein ehsas ki sardari thi
ab jo lauTa hun to pahchan nahin hoti hai
kahan diwar thi diwar mein almari thi
wo haweli bhi saheli thi paheli jaisi
jis ki inTon mein mere KHwab the KHuddari thi
aaKHiri bar main kab us se mila yaad nahin
bas yahi yaad hai ek sham bahut bhaari thi
puchhta phirta hun galiyon mein koi hai koi hai
ye wo galiyan hain jahan log the sarshaari thi
peD the chand makanon mein zamanon jaise
jin ki chhanw mein meri ruh ki lu jari thi
kya bhale din the hamein khel tha hansna rona
sans lena bhi hamein jaise adakari thi
bas koi KHwab tha aur KHwab ke pas-manzar mein
bagh tha phul the KHushbu ki numudari thi
hum ne dekha tha use ujle dinon mein 'hammad'
jin dinon nind thi aur nind mein bedari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.