jab milenge ki ab milenge aap
jab mileñge ki ab mileñge aap
nahīñ ma.alūm kab mileñge aap
jā.iye jā.iye ḳhudā-hāfiz
dekhiye bichhḌe kab mileñge aap
hashr meñ aap hī mileñge kyā
ek se ek sab mileñge aap
hogā mere liye vo iid kā din
aap se aa ke jab mileñge aap
ahd ke saath ye bhī ho irshād
kis tarah aur kab mileñge aap
zindagī meñ to mil nahīñ sakte
hūñgā jab jāñ-ba-lab mileñge aap
va.ada-e-vasl par na kyuuñ ḳhush huuñ
maiñ ne samjhā ki ab mileñge aap
nahīñ duniyā meñ jab bashīr-e-hazīñ
kis tarah us se ab mileñge aap
jab milenge ki ab milenge aap
nahin malum kab milenge aap
jaiye jaiye KHuda-hafiz
dekhiye bichhDe kab milenge aap
hashr mein aap hi milenge kya
ek se ek sab milenge aap
hoga mere liye wo id ka din
aap se aa ke jab milenge aap
ahd ke sath ye bhi ho irshad
kis tarah aur kab milenge aap
zindagi mein to mil nahin sakte
hunga jab jaan-ba-lab milenge aap
wada-e-wasl par na kyun KHush hun
main ne samjha ki ab milenge aap
nahin duniya mein jab bashir-e-hazin
kis tarah us se ab milenge aap
- Deewan-e-Basheerwebsite)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.