Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab ho chuki sharab to main mast mar gaya

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

jab ho chuki sharab to main mast mar gaya

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    jab ho chukī sharāb to maiñ mast mar gayā

    shīshe ke ḳhālī hote paimāna bhar gayā

    ne qāsid-e-ḳhayāl na paik-e-nazar gayā

    un tak maiñ apnī aap le kar ḳhabar gayā

    rūh-e-ruvān-o-jism sūrat maiñ kyā kahūñ

    jhoñkā havā thā idhar aayā udhar gayā

    tūfān-e-nūh is meñ ho shor-e-hashr ho

    hotā jo kuchh hai hogā jo guzrā guzar gayā

    samjhā hai haq ko apne jānib har ek shaḳhs

    ye chāñd us ke saath chalā jo jidhar gayā

    shorīdgī se merī yahāñ tak vo tañg the

    rūThā jo maiñ to ḳhair manā.ī ki shar gayā

    maiñ ne bhī āñkheñ dekhī haiñ pariyoñ jaao bhī

    tum ne dikhā.ī aañkh mujhe aur maiñ Dar gayā

    guzrā jahāñ se maiñ to kahā sun ke yaar ne

    qissa gayā fasād gayā dard-e-sar gayā

    kāġhaz siyāh karte ho kis ke liye 'nasīm'

    aayā javāb-e-ḳhat tumheñ aur nāma-bar gayā

    jab ho chuki sharab to main mast mar gaya

    shishe ke KHali hote hi paimana bhar gaya

    ne qasid-e-KHayal na paik-e-nazar gaya

    un tak main apni aap hi le kar KHabar gaya

    ruh-e-ruwan-o-jism ki surat main kya kahun

    jhonka hawa ka tha idhar aaya udhar gaya

    tufan-e-nuh is mein ho ya shor-e-hashr ho

    hota jo kuchh hai hoga jo guzra guzar gaya

    samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shaKHs

    ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya

    shoridgi se meri yahan tak wo tang the

    ruTha jo main to KHair manai ki shar gaya

    main ne bhi aankhen dekhi hain pariyon ki jao bhi

    tum ne dikhai aankh mujhe aur main Dar gaya

    guzra jahan se main to kaha sun ke yar ne

    qissa gaya fasad gaya dard-e-sar gaya

    kaghaz siyah karte ho kis ke liye 'nasim'

    aaya jawab-e-KHat tumhein aur nama-bar gaya

    Source :
    • Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 139)
    • Author : Khvaja Mohammad Zakriya
    • Publication : Sangat Publishers (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now