jāntā us ko huuñ davā kī tarah
chāhtā us ko huuñ shifā kī tarah
hai dahan ġhā.eb aur kamar anqā
ḳhud bhī nāyāb ho humā kī tarah
chaal ne terī fitna-e-mahshar
piis Daalā mujhe hinā kī tarah
ḳhaak chhānī bahut patā na milā
vo hai nāyāb kīmiyā kī tarah
is qadar nā-tavāñ 'haqīr' haiñ ham
hil nahīñ sakte naqsh-e-pā kī tarah
jaanta us ko hun dawa ki tarah
chahta us ko hun shifa ki tarah
hai dahan ghaeb aur kamar anqa
KHud bhi nayab ho huma ki tarah
chaal ne teri fitna-e-mahshar
pis Dala mujhe hina ki tarah
KHak chhani bahut pata na mila
wo hai nayab kimiya ki tarah
is qadar na-tawan 'haqir' hain hum
hil nahin sakte naqsh-e-pa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.