jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
jaane vaale mujhe kuchh apnī nishānī de jā
ruuh pyāsī na rahe aañkh meñ paanī de jā
vaqt ke saath ḳhad-o-ḳhāl badal jaate haiñ
jo na badle vahī tasvīr purānī de jā
tire māthe pe mirā naam chamaktā thā kabhī
un dinoñ kī koī pahchān purānī de jā
jis kī āġhosh meñ kaT jaa.eñ hazāroñ rāteñ
merī tanhā.ī ko chhū kar vo kahānī de jā
rakh na mahrūm ḳhud apnī hī rifāqat se mujhe
aa.ina mujh ko dikhā de mirā saanī de jā
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja
waqt ke sath KHad-o-KHal badal jate hain
jo na badle wahi taswir purani de ja
tere mathe pe mera nam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aaghosh mein kaT jaen hazaron raaten
meri tanhai ko chhu kar wo kahani de ja
rakh na mahrum KHud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mera sani de ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.