Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kahan the aur chale the kahan se hum

Ahmad Nadeem Qasmi

jaane kahan the aur chale the kahan se hum

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    jaane kahāñ the aur chale the kahāñ se ham

    bedār ho ga.e kisī ḳhvāb-e-girāñ se ham

    ai nau-bahār-e-nāz tirī nik.hatoñ ḳhair

    dāman jhaTak ke nikle tire gulsitāñ se ham

    pindār-e-āshiqī amānat hai āh-e-sard

    ye tiir aaj chhoḌ rahe haiñ kamāñ se ham

    aao ġhubār-e-rāh meñ DhūñDeñ shamīm-e-nāz

    aao ḳhabar bahār pūchheñ ḳhizāñ se ham

    āḳhir duā kareñ bhī to kis mudda.ā ke saath

    kaise zamīñ baat kaheñ āsmāñ se ham

    jaane kahan the aur chale the kahan se hum

    bedar ho gae kisi KHwab-e-giran se hum

    ai nau-bahaar-e-naz teri nikhaton ki KHair

    daman jhaTak ke nikle tere gulsitan se hum

    pindar-e-ashiqi ki amanat hai aah-e-sard

    ye tir aaj chhoD rahe hain kaman se hum

    aao ghubar-e-rah mein DhunDen shamim-e-naz

    aao KHabar bahaar ki puchhen KHizan se hum

    aaKHir dua karen bhi to kis muddaa ke sath

    kaise zamin ki baat kahen aasman se hum

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jaane kahan the aur chale the kahan se hum Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now