jaan jaane ko hai aur raqs mein parwana hai
jaan jaane ko hai aur raqs meñ parvāna hai
kitnā rañgīn mohabbat tirā afsāna hai
ye to dekhā ki mire haath meñ paimāna hai
ye na dekhā ki ġham-e-ishq ko samjhānā hai
itnā nazdīk hue tark-e-ta.alluq kī qasam
jo kahānī hai mirī aap kā afsāna hai
ham nahīñ vo ki bhulā deñ tire ehsān-o-karam
ik ināyat tirā ḳhvāboñ meñ chalā aanā hai
ek mahshar se nahīñ kam tirā aanā lekin
ik qayāmat tirā pahlū se chalā jaanā hai
ḳhum o miinā mai o mastī ye gulābī āñkheñ
kitnā pur-kaif mire hijr kā afsāna hai
jaan jaane ko hai aur raqs mein parwana hai
kitna rangin mohabbat tera afsana hai
ye to dekha ki mere hath mein paimana hai
ye na dekha ki gham-e-ishq ko samjhana hai
itna nazdik hue tark-e-talluq ki qasam
jo kahani hai meri aap ka afsana hai
hum nahin wo ki bhula den tere ehsan-o-karam
ek inayat tera KHwabon mein chala aana hai
ek mahshar se nahin kam tera aana lekin
ek qayamat tera pahlu se chala jaana hai
KHum o mina mai o masti ye gulabi aankhen
kitna pur-kaif mere hijr ka afsana hai
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 464)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.