jada-e-mai pe guzar KHwabon ka
jāda-e-mai pe guzar ḳhvāboñ kā
muḌ gayā sail kidhar ḳhvāboñ kā
zindagī azmat-e-hāzir ke baġhair
ik tasalsul hai magar ḳhvāboñ kā
zulmateñ vahshat-e-fardā se niDhāl
DhūñDhtī phirtī haiñ ghar ḳhvāboñ kā
qarya-e-māh se us bastī tak
roz hotā hai guzar ḳhvāboñ kā
sub.h-e-nauroz bhī dilkash hai 'urūj'
is qadar rañj na kar ḳhvāboñ kā
jada-e-mai pe guzar KHwabon ka
muD gaya sail kidhar KHwabon ka
zindagi azmat-e-hazir ke baghair
ek tasalsul hai magar KHwabon ka
zulmaten wahshat-e-farda se niDhaal
DhunDhti phirti hain ghar KHwabon ka
qarya-e-mah se us basti tak
roz hota hai guzar KHwabon ka
subh-e-nauroz bhi dilkash hai 'uruj'
is qadar ranj na kar KHwabon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.