itni qurbat bhi nahin Thik hai ab yar ke sath
itnī qurbat bhī nahīñ Thiik hai ab yaar ke saath
zaḳhm khā jāoge kheloge jo talvār ke saath
ek aahaT bhī mire ghar se ubhartī hai agar
log kaan apne lagā lete haiñ dīvār ke saath
paañv sākit haiñ magar ghuum rahī hai duniyā
zindagī Thahrī huī lagtī hai raftār ke saath
ek jaltā huā aañsū mirī āñkhoñ se girā
beḌiyāñ TuuT ga.iiñ zulm kī jhankār ke saath
kal bhī anmol thā maiñ aaj bhī anmol huuñ maiñ
ghaTtī baḌhtī nahīñ qīmat mirī bāzār ke saath
kaj-kulāhī pe na maġhrūr huā kar itnā
sar utar aate haiñ shāhoñ ke bhī dastār ke saath
kaun sā jurm ḳhudā jaane huā hai sābit
mashvare kartā hai munsif jo gunahgār ke saath
shahr bhar ko maiñ mayassar huuñ sivā.e us ke
jis kī dīvār lagī hai mirī dīvār ke saath
itni qurbat bhi nahin Thik hai ab yar ke sath
zaKHm kha jaoge kheloge jo talwar ke sath
ek aahaT bhi mere ghar se ubharti hai agar
log kan apne laga lete hain diwar ke sath
panw sakit hain magar ghum rahi hai duniya
zindagi Thahri hui lagti hai raftar ke sath
ek jalta hua aansu meri aankhon se gira
beDiyan TuT gain zulm ki jhankar ke sath
kal bhi anmol tha main aaj bhi anmol hun main
ghaTti baDhti nahin qimat meri bazar ke sath
kaj-kulahi pe na maghrur hua kar itna
sar utar aate hain shahon ke bhi dastar ke sath
kaun sa jurm KHuda jaane hua hai sabit
mashware karta hai munsif jo gunahgar ke sath
shahr bhar ko main mayassar hun siwae us ke
jis ki diwar lagi hai meri diwar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.