itna to hua ai dil ek shaKHs ke jaane se
itnā to huā ai dil ik shaḳhs ke jaane se
bichhḌe hue milte haiñ kuchh dost purāne se
ik aag hai jañgal kī rusvā.ī kā charchā hai
dushman bhī chale aa.e milne ke bahāne se
ab merā safar tanhā ab us kī judā manzil
pūchho na pata us kā tum mere Thikāne se
raushan hue vīrāne ḳhush ho ga.ī duniyā bhī
kuchh ham bhī sukūñ se haiñ ghar apnā jalāne se
rusvā.ī to vaise bhī taqdīr hai āshiq kī
zillat bhī milī ham ko ulfat ke fasāne se
itna to hua ai dil ek shaKHs ke jaane se
bichhDe hue milte hain kuchh dost purane se
ek aag hai jangal ki ruswai ka charcha hai
dushman bhi chale aae milne ke bahane se
ab mera safar tanha ab us ki juda manzil
puchho na pata us ka tum mere Thikane se
raushan hue virane KHush ho gai duniya bhi
kuchh hum bhi sukun se hain ghar apna jalane se
ruswai to waise bhi taqdir hai aashiq ki
zillat bhi mili hum ko ulfat ke fasane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.