ism ban kar tere honTon se phisalta hua main
ism ban kar tire hoñToñ se phisaltā huā maiñ
barf-zāroñ meñ utar aayā huuñ jaltā huā maiñ
us ne paimāne ko āñkhoñ ke barābar rakkhā
us ko achchhā nahīñ lagtā thā sañbhaltā huā maiñ
raat ke pichhle pahar chāñd se kuchh kam to na thā
din kī sūrat tirī bāñhoñ se nikaltā huā maiñ
tere pahlū meñ zarā der ko sustā lūñgā
tujh tak aa pahuñchā agar niiñd meñ chaltā huā maiñ
merī rag rag meñ lahū ban ke machaltī huī tū
terī sāñsoñ kī harārat se pighaltā huā maiñ
vo kabhī dhuup nazar aa.e kabhī dhund lage
dekhtā huuñ use har rang badaltā huā maiñ
ism ban kar tere honTon se phisalta hua main
barf-zaron mein utar aaya hun jalta hua main
us ne paimane ko aankhon ke barabar rakkha
us ko achchha nahin lagta tha sanbhalta hua main
raat ke pichhle pahar chand se kuchh kam to na tha
din ki surat teri banhon se nikalta hua main
tere pahlu mein zara der ko susta lunga
tujh tak aa pahuncha agar nind mein chalta hua main
meri rag rag mein lahu ban ke machalti hui tu
teri sanson ki hararat se pighalta hua main
wo kabhi dhup nazar aae kabhi dhund lage
dekhta hun use har rang badalta hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.