ishq mein ye majburi to ho jati hai
ishq meñ ye majbūrī to ho jaatī hai
duniyā ġhair-zarūrī to ho jaatī hai
ek anā-e-be-chehra ke badle meñ
chaliye kuchh mash.hūrī to ho jaatī hai
dil aur duniyā donoñ ko ḳhush rakhne meñ
apne-āp se duurī to ho jaatī hai
lafzoñ meñ ḳhālī jag.heñ bhar lene se
baat adhūrī, puurī to ho jaatī hai
jazba hai jo roz ke zinda rahne kā
ham se vo mazdūrī to ho jaatī hai
ishq mein ye majburi to ho jati hai
duniya ghair-zaruri to ho jati hai
ek ana-e-be-chehra ke badle mein
chaliye kuchh mashhuri to ho jati hai
dil aur duniya donon ko KHush rakhne mein
apne-ap se duri to ho jati hai
lafzon mein KHali jaghen bhar lene se
baat adhuri, puri to ho jati hai
jazba hai jo roz ke zinda rahne ka
hum se wo mazduri to ho jati hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 17)
- Author : Aasima Mushtaq
- Publication : Fareed Book Depot Pvt. Ltd (Fareed Book Depot Pvt. Ltd)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.