ishq mein humse mashaqqat nahin karni aai
'ishq meñ ham se mashaqqat nahīñ karnī aa.ī
jaise karte haiñ mohabbat nahīñ karnī aa.ī
aap ke haath pe ham haath bhī rakhte kaise
ham se to apnī hī bai'at nahīñ karnī aa.ī
gardish-e-vaqt meñ Thokar nahīñ khaa.ī jis ne
us qabīle ko baġhāvat nahīñ karnī aa.ī
ham tire saa.e meñ kuchh der Thaharte kaise
ham ko jab dhuup se vahshat nahīñ karnī aa.ī
ham se nā-ahloñ ko is kārgah-e-hastī meñ
zinda rahne kī bhī sūrat nahīñ karnī aa.ī
'ishq mein hum se mashaqqat nahin karni aai
jaise karte hain mohabbat nahin karni aai
aap ke hath pe hum hath bhi rakhte kaise
hum se to apni hi bai'at nahin karni aai
gardish-e-waqt mein Thokar nahin khai jis ne
us qabile ko baghawat nahin karni aai
hum tere sae mein kuchh der Thaharte kaise
hum ko jab dhup se wahshat nahin karni aai
hum se na-ahlon ko is kargah-e-hasti mein
zinda rahne ki bhi surat nahin karni aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.