Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki jannat dar ke pichhe

Mohammed Nabi Khan Jamal Soveda

ishq ki jannat dar ke pichhe

Mohammed Nabi Khan Jamal Soveda

MORE BYMohammed Nabi Khan Jamal Soveda

    ishq jannat daar ke pīchhe

    jiit bhī hai is haar ke pīchhe

    patthar taane log khaḌe haiñ

    zindāñ dīvār ke pīchhe

    dhīmī dhīmī aaheñ bhī haiñ

    paa.el jhankār ke pīchhe

    gulchīñ baaġh ko luuT rahā hai

    phūloñ ke ik haar ke pīchhe

    suunī suunī vīrāñ galiyāñ

    har chalte bāzār ke pīchhe

    dil bhī kitnā saudā.ī hai

    bhāge hai afkār ke pīchhe

    ishq ki jannat dar ke pichhe

    jit bhi hai is haar ke pichhe

    patthar tane log khaDe hain

    zindan ki diwar ke pichhe

    dhimi dhimi aahen bhi hain

    pael ki jhankar ke pichhe

    gulchin bagh ko luT raha hai

    phulon ke ek haar ke pichhe

    suni suni viran galiyan

    har chalte bazar ke pichhe

    dil bhi kitna saudai hai

    bhage hai afkar ke pichhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now