ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai
ishq ke marāhil meñ vo bhī vaqt aatā hai
āfateñ barastī haiñ dil sukūn paatā hai
āzmā.isheñ ai dil saḳht hī sahī lekin
ye nasīb kyā kam hai koī āzmātā hai
umr jitnī baḌhtī hai aur ghaTtī jaatī hai
saañs jo bhī aatā hai laash ban ke jaatā hai
ābloñ kā shikva kyā Thokaroñ kā ġham kaisā
aadmī mohabbat meñ sab ko bhuul jaatā hai
kār-zār-e-hastī meñ izz-o-jāh kī daulat
bhiik bhī nahīñ miltī aadmī kamātā hai
apnī qabr meñ tanhā aaj tak gayā hai kaun
daftar-e-amal 'āmir' saath saath jaatā hai
ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai
aafaten barasti hain dil sukun pata hai
aazmaishen ai dil saKHt hi sahi lekin
ye nasib kya kam hai koi aazmata hai
umr jitni baDhti hai aur ghaTti jati hai
sans jo bhi aata hai lash ban ke jata hai
aablon ka shikwa kya Thokaron ka gham kaisa
aadmi mohabbat mein sab ko bhul jata hai
kar-zar-e-hasti mein izz-o-jah ki daulat
bhik bhi nahin milti aadmi kamata hai
apni qabr mein tanha aaj tak gaya hai kaun
daftar-e-amal 'amir' sath sath jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.