ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi
'ishq kar ke dekh lī jo bebasī dekhī na thī
is qadar uljhan meñ pahle zindagī dekhī na thī
ye tamāshā bhī 'ajab hai un ke uTh jaane ke baa'd
maiñ ne din meñ is se pahle tīrgī dekhī na thī
aap kyā aa.e ki ruḳhsat sab añdhere ho ga.e
is qadar ghar meñ kabhī bhī raushnī dekhī na thī
aap se āñkheñ milī thiiñ phir na jaane kyā huā
log kahte haiñ ki aisī be-ḳhudī dekhī na thī
mujh ko ruḳhsat kar rahe haiñ vo 'ajab andāz se
aañkh meñ aañsū laboñ par ye hañsī dekhī na thī
kis qadar ḳhush huuñ maiñ 'nāsir' un ko pā lene ke baa'd
aisā lagtā hai kabhī aisī ḳhushī dekhī na thī
'ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi
is qadar uljhan mein pahle zindagi dekhi na thi
ye tamasha bhi 'ajab hai un ke uTh jaane ke ba'd
main ne din mein is se pahle tirgi dekhi na thi
aap kya aae ki ruKHsat sab andhere ho gae
is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi
aap se aankhen mili thin phir na jaane kya hua
log kahte hain ki aisi be-KHudi dekhi na thi
mujh ko ruKHsat kar rahe hain wo 'ajab andaz se
aankh mein aansu labon par ye hansi dekhi na thi
kis qadar KHush hun main 'nasir' un ko pa lene ke ba'd
aisa lagta hai kabhi aisi KHushi dekhi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.