is etibar se be-intiha zaruri hai
is e'tibār se be-intihā zarūrī hai
pukārne ke liye ik ḳhudā zarūrī hai
hazār rañg meñ mumkin hai dard kā iz.hār
tire firāq meñ marnā hī kyā zarūrī hai
shu.ūr shahr ke hālāt kā nahīñ sab ko
bayān shahr ke hālāt kā zarūrī hai
kuchh aaise sher haiñ yaaro jo ham nahīñ kahte
har ek baat kā iz.hār kyā zarūrī hai
'shujā.a' maut se pahle zarūr jī lenā
ye kaam bhuul na jaanā baḌā zarūrī hai
is e'tibar se be-intiha zaruri hai
pukarne ke liye ek KHuda zaruri hai
hazar rang mein mumkin hai dard ka izhaar
tere firaq mein marna hi kya zaruri hai
shuur shahr ke haalat ka nahin sab ko
bayan shahr ke haalat ka zaruri hai
kuchh aaise sher hain yaro jo hum nahin kahte
har ek baat ka izhaar kya zaruri hai
'shujaa' maut se pahle zarur ji lena
ye kaam bhul na jaana baDa zaruri hai
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013 )
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.