in kali saDkon pa aksar dhyan aaya
in kaalī saḌkoñ pa aksar dhyān aayā
mere man kā mail kahāñ tak phail gayā
dekh rahā thā jaate jaate hasrat se
soch rahā hogā maiñ us ko rokūñgā
us ne chalte chalte lafzoñ kā zahrāb
mere jazboñ kī pyālī meñ Daal diyā
us ghar kī dīvāreñ mujh se ruuTh ga.iiñ
jis ke andar kā har saaya merā thā
paan ke Thele hotel logoñ kā jamghaT
apne tanhā hone kā ehsās bhī kyā
in kali saDkon pa aksar dhyan aaya
mere man ka mail kahan tak phail gaya
dekh raha tha jate jate hasrat se
soch raha hoga main us ko rokunga
us ne chalte chalte lafzon ka zahrab
mere jazbon ki pyali mein Dal diya
us ghar ki diwaren mujh se ruTh gain
jis ke andar ka har saya mera tha
pan ke Thele hotel logon ka jamghaT
apne tanha hone ka ehsas bhi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.