ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
ik shajar aisā mohabbat kā lagāyā jaa.e
jis kā ham-sā.e ke āñgan meñ bhī saayā jaa.e
ye bhī mumkin hai batā de vo koī kaam kī baat
ik nujūmī ko chalo haath dikhāyā jaa.e
dekhnā ye hai ki kaun aatā hai saaya ban kar
dhuup meñ baiTh ke logoñ ko bulāyā jaa.e
yā mirī ziist ke āsār numāyāñ kar de
yā batā de ki tujhe kaise bhulāyā jaa.e
us ke ehsān se inkār nahīñ hai lekin
naqsh paanī pe 'zafar' kaise banāyā jaa.e
ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae
ye bhi mumkin hai bata de wo koi kaam ki baat
ek nujumi ko chalo hath dikhaya jae
dekhna ye hai ki kaun aata hai saya ban kar
dhup mein baiTh ke logon ko bulaya jae
ya meri zist ke aasar numayan kar de
ya bata de ki tujhe kaise bhulaya jae
us ke ehsan se inkar nahin hai lekin
naqsh pani pe 'zafar' kaise banaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.